Friday, May 17, 2024
HomeNaatSunte Hain Ki Mehshar Mein Sirf Unki Rasai Hai Lyrics

Sunte Hain Ki Mehshar Mein Sirf Unki Rasai Hai Lyrics

Sunte Hain Ki Mehshar Mein Sirf Unki Rasai Hai Lyrics in English

Sunte Hain Ki Mehshar Mein Sirf Unki Rasai Hai
Gar Unki Rasai Hai Lo Jab To Ban Aayi Hai

Machla Hai Ki Rehmat Ne Ummeed Bandhaaee Hai
Kya Baat Teri Mujrim Kya Baat Banaaee Hai

Sab Ne Safe Mehshar Mein Lalkaar Diya Hum Ko
Aye Bekason Ke Aaqa Ab Teri Duhaaee Hai

Yoon To Sab Unhi Ka Hai Par Dil Ki Agar Poocho
Yeh Toote Hue Dil Hi Khaas Unki Kamaaee Hai

Zaair Gaye Bhi Kab Ke Din Dhalne Pe Hai Pyaare
Uth Mere Akele Chal Kya Der Lagaaee Hai

Sunte Hain Ki Mehshar Mein Sirf Unki Rasai Hai
Gar Unki Rasai Hai Lo Jab To Ban Aayi Hai

Baazaare Amal Mein To Sauda Na Bana Apna
Sarkaar Karam Tujh Mein Aibee Ki Samaaee Hai

Girte Huo(n) Ko Muzda Sajde Mein Gire Maula
Ro Ro Ke Shafa’at Ki Tamheed Uthaaee Hai

Aye Dil Yeh Sulagna Kya Jalna Hai To Jal Bhi Uth
Dum Ghutne Laga Zaalim Kya Dhooni Ramaaee Hai

Sunte Hain Ki Mehshar Mein Sirf Unki Rasai Hai
Gar Unki Rasai Hai Lo Jab To Ban Aayi Hai

Mujrim Ko Na Sharmaao Ahbaab Kafan Dhak Do
Muh Dekh Ke Kya Hoga Parde Mein Bhalaaee Hai

Ab Aap Hi Sambhaalen To Kaam Apne Sambhal Jaayen
Humne To Kamaaee Sab Khelon Mein Ganwaaee Hai

Aye Ishq Tere Sadqe Jalne Se Chute Saste
Jo Aag Bujha Degi Woh Aag Lagaaee Hai

Hirso Hawase Bad Se Dil Tu Bhi Sitam Kar Le
Tu Hi Nahi Begaana Dunya Hi Paraaee Hai

Sunte Hain Ki Mehshar Mein Sirf Unki Rasai Hai
Gar Unki Rasai Hai Lo Jab To Ban Aayi Hai

Hum Dil Jale Hain Kiske Hat Fitno(n) Ke Parkaale
Kyun Foonk Du Ik Uf Se Kya Aag Lagaaee Hai

Taiba Na Sahi Afzal Makka Hi Bada Zaahid
Hum Ishq Ke Bande Hain Kyun Baat Badhaaee Hai

Matla’ Mein Yeh Shak Kya Tha WallahRazaWallah
Sirf Unki Rasai Hai Sirf Unki Rasai Hai

Sunte Hain Ki Mehshar Mein Sirf Unki Rasai Hai
Gar Unki Rasai Hai Lo Jab To Ban Aayi Hai

Sunte Hain Ki Mehshar Mein Sirf Unki Rasai Hai Lyrics in Urdu

سنتے ہیں کہ محشر میں صرف انکی رسائی ہے
گر انکی رسائی ہے لو جب تو بن آئی ہے

مچلا ہے کہ رحمت نے امید بندھائی ہے
کیا بات تیری مجرم کیا بات بنائی ہے

سب نے سفے محشر میں للکار دیا ہم کو
ای بے قصۂ کے آقا اب تیری دعائی ہے

یوں تو سب انہیں کا ہے پر دل کی اگر پوچھو
یہ ٹوٹے ہوئے دل ہی خاص انکی کمائی ہے

زیر گئے بھی کب کے دن ڈھلنے پہ ہے پیارے
اُٹھ میرے اکیلے چل کیا دیر لگائی ہے

بازارِ عمل میں تو سودا نہ بنا اپنا
سرکار کرم تجھ میں عیبی کی سمائی ہے

گرتے ہوئے کو مزد سجدے میں گرے مولا
رو رو کے شفاعت کی تمحید اُٹھائی ہے

ای دل یہ سلگنا کیا جلنا ہے تو جل بھی اُٹھ
دم گھٹنے لگا ظالم کیا دہونی رمائی ہے

مجرم کو نہ شرماؤ احباب کفن ڈھک دو
منہ دیکھ کے کیا ہوگا پردے میں بھلائی ہے

اب آپ ہی سنبھالیں تو کام اپنے سنبھل جائیں
ہم نے تو کمائی سب کھیلوں میں گنوائی ہے

ای عشق تیرے صدقے جلنے سے چھٹے سستے
جو آگ بجھا دے گی وہ آگ لگائی ہے

ہرسو حواس بد سے دل تو بھی ستم کر لے
تو ہی نہیں بیگانہ دنیا ہی پرائی ہے

ہم دل جلے ہیں کس کے ہات فتنوں کے پرکالے
کیوں فونک دو اک اُف سے کیا آگ لگائی ہے

طائبہ نہ صحیح افضل مکہ ہی بڑا زاہد
ہم عشق کے بندے ہیں کیوں بات بنائی ہے

مطلع میں یہ شک کیا تھا واللہ رضا واللہ
صرف انکی رسائی ہے صرف انکی رسائی ہے

6 kalma of Islam

1st Kalma2nd Kalma3rd Kalma
4th Kalma5th Kalma6th Kalma
RELATED ARTICLES

Most Popular