Sunday, December 22, 2024
HomeNaatArize Shamso Qamar Se Bhi Hain Anwar Aeriyan Lyrics

Arize Shamso Qamar Se Bhi Hain Anwar Aeriyan Lyrics

Arize Shamso Qamar Se Bhi Hain Anwar Aeriyan Lyrics in English

Arize Shamso Qamar Se Bhi Hain Anwar Aeriyan
Arsh Ki Ankhon Ke Tare Hain Woh Khushtar Aeriyan

Ja Baja Partau Figan Hain Asman Par Aeriyan
Din Ko Hain Khursheed Shab Ko Maho Akhtar Aeriyan

Najme Gardoon To Nazar Ate Hain Chote Aur Woh Pau
Arsh Par Phir Kyun Na Hon Mahsoos Lagar Aeriyan

Dab Ke Zere Pa Na Gunjaish Samane Ko Rahi
Ban Gaya Jalwa Kafe Pa Ka Ubhar Ka Aeriyan

Unka Mangta Pau Se Thukra De Woh Duniya Ka Taj
Jis Ki Khatir Mar Gaye Mun’am Agad Kar Aeriyan

Do Qamar, Do Panjaye Khur, Do Sitare, Dus Hilal
Unke Talwe, Panje, Nakhun, Paye Athar Aeriyan

Haye Us Patthar Se Us Seene Ki Qismat Fodiye
Be Takalluf Jis Ke Dil Mein Yun Karen Ghar Aeriyan

Taje Roohul Quds Ke Moti Jise Sajda Karen
Rakhti Hain Wallah Woh Pakeeza Gohar Aeriyan

Ek Thokar Me Uhud Ka Zalzala Jata Raha
Rakhti Hain Kitna Waqar Allahu Akbar Aeriyan

Charkh Par Chadte Hi Chandi Mein Siyahi A Gayi
Kar Chuki Hai Badr Ko Taksal Bahar Aeriyan

Aye “Raza” Toofane Mehshar Ke Talatum Se Na Dar
Shad Ho! Hain Kashtiye Ummat Ko Langar Aeriyan.

Arize Shamso Qamar Se Bhi Hain Anwar Aeriyan
Arsh Ki Ankhon Ke Tare Hain Woh Khushtar Aeriyan

Arize Shamso Qamar Se Bhi Hain Anwar Aeriyan Lyrics in Urdu

اَرضِ شمس و قمر سے بھی ہیں انوار ایریاں
عرش کی آنکھوں کے تارے ہیں وہ خوشتر ایریاں

جا با جَا پرتو فِگان ہیں آسمان پر ایریاں
دن کو ہیں خورشید شب کو ماہو اختر ایریاں

نجمِ گردوں تو نظر آتے ہیں چھوٹے اور وہ پاو
عرش پر پھر کیوں نہ ہوں محسوس لگر ایریاں

دب کے زیرِ پا نہ گنجائش سامنے کو رہی
بن گیا جلوہ کفِ پا کا ابھر کا ایریاں

انکا مانگتا پاو سے ٹھکرا دے وہ دنیا کا تاج
جس کی خاطر مر گئے منعم اعظم ایریاں

دو قمر، دو پنجے خور، دو ستارے، دس ہلال
ان کے تلوے، پنجے، ناخن، پاے اثر ایریاں

ہائے اُس پتھر سے اُس سینے کی قسمت فوڑئے
بے تکلف جس کے دل میں یوں کریں گھر ایریاں

تاجِ روحُ القدس کے موتی جسے سجدہ کریں
رکھتی ہیں واللہ وہ پاکیزہ گوہر ایریاں

ایک ٹہوکر میں اُحد کا زلزلہ جاتا رہا
رکھتی ہیں کتنا وقار اللہ اکبر ایریاں

چرخ پر چڑھتے ہی چاندی میں سیاہی آ گئی
کر چکی ہے بدر کو تکسل بہار ایریاں

اے “رضا” طوفانِ محشر کے تلہٹم سے نہ ڈر
شاد ہو! ہیں کشتیِ امت کو لنگر ایریاں۔

6 kalma of Islam

1st Kalma2nd Kalma3rd Kalma
4th Kalma5th Kalma6th Kalma
RELATED ARTICLES

Most Popular