Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics in English
Rasme Ushshaq yahi hai ke wafa karte hein
Yaani har haal mein haq apna ada karte hein
Hosla Hazrate Shabbir ka Allah Allah
Sar juda hota hai aur shukre Khuda karte hein
Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam
Neze pe Qur’an padne wale Qari ko Salam
Raat Din bichhde huon ki Raah mein rehna khade
Hazrate Sugran Tumhari Intezari ko Salam
Sar se Chadar chhin gayi lekin nazar utthi nahin
Hazrate Zainab Tumhari Parda-dari ko Salam
Muskurate teg pe roshan kiya rangeen charag
Aqbaro Kasim Tumhari Jaan-Nisari ko Salam
Kat gaya kumba musibat sar pe aayi lut gayi
Ho gayi Bhai Bhatijon se judai lut gayi
Umar bhar ki daste gurbat mein kamaii lut gayi
Roke jab kehti thi Zainab haaye bhai lut gayi
Ghar Ali ka kya luta sari Khudai lut gayi
Har Imtihan mein Shabiro Shakir rahe Husain
Kohe Alam uthane ko hazir rahe Husain
Dhoke se kufiyon ne bula kar sitam kiya
Mehman be-watan ko bula kar sitam kiya
Khema lagana naher pe Ahmad ki aal ka
Pani bhi band kar diya Zahra ke Laal ka
Laashon ko bhanjon ki lahu mein sajake laaye
Toote hue Bahisht ke Taare uthake laaye
Aaya kisi ko paas na Roohe Rasool ka
Ghul kar diya charag Mazare Batul ka
Dastaar hai Husain ke sar pe Rasool ki
Thi maut bhi qabool to aesi qabool thi
Chahere pe jiske Maula Ali ka Jalal hai
Kabze mein jiske Bhai Hasan ka kamaal hai
Mein kya kahun mein kaun meri kya majal hai
Sab jaante hein Fatima Zahra ka laal hai
Chehra Rasool ka labo lehja Rasool ka
Aankhon mein khinch raha hai saraapa Rasool ka
Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam
Neze pe Qur’an padne wale Qari ko Salam
Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics in Urdu
رسمِ عشق یہی ہے کہ وفا کرتے ہیں
یعنی ہر حال میں حق اپنا ادا کرتے ہیں
ہوسلا حضرت شبیر کا، اللہ اللہ
سر جدا ہوتا ہے اور شکر خدا کرتے ہیں
شاہِ سوارۂ کربلا کی شاہ سواری کو سلام
نیزے پہ قرآن پڑنے والے قاری کو سلام
رات دن بچھڑے ہوئے ہوں کی راہ میں رہنا کھڑے
حضرتِ سغران تمہاری انتظاری کو سلام
سر سے چادر چھین گئی لیکن نظر اٹھی نہیں
حضرتِ زینب تمہاری پردہ داری کو سلام
مسکراتے ٹیگ پہ روشن کیا رنگین چراغ
اقبال و قاسم تمہاری جان نثاری کو سلام
کٹ گیا کمبا مصیبت سر پہ آئی لوٹ گئی
ہو گئی بھائی بھتیجوں سے جدائی لوٹ گئی
عمر بھر کی دستِ غربت میں کمائی لوٹ گئی
رکے جب کہتی تھی زینب ہائے بھائی لوٹ گئی
گھڑ علی کا کیا لٹا ساری خدائی لٹ گئی
ہر امتحان میں شبیر و شاکر رہے حسین
کوہِ عالم اٹھانے کو حاضر رہے حسین
دھوکے سے کفیہ وں نے بلا کر ستم کیا
مہمان بے وطن کو بلا کر ستم کیا
خیمہ لگانا نہر پہ احمد کی آل کا
پانی بھی بند کر دیا زہرا کے لال کا
لاشوں کو بھنجوں کی لہو میں سجا کر لائے
ٹوٹے ہوئے بہشت کے تارے اٹھا کر لائے
آیا کسی کو پاس نہ روحِ رسول کا
غل کر دیا چراغ مزارِ بتول کا
دستار ہے حسین کے سر پہ رسول کی
تھی موت بھی قبول تو ایسی قبول تھی
چہرہِ رسول کا، لبو لہجہِ رسول کا
آنکھوں میں کھنچ رہا ہے سرآپا رسول کا
شاہِ سوارۂ کربلا کی شاہ سواری کو سلام
نیزے پہ قرآن پڑنے والے قاری کو سلام