Site icon Faizan e Mustafa

Guzre Jis Rah Se Wo Sayyid E Wala Ho Kar Lyrics

Guzre Jis Rah Se Wo Sayyid E Wala Ho Kar

Guzre Jis Rah Se Wo Sayyid E Wala Ho Kar Lyrics in English

Guzre Jis Rah Se Wo Sayyid E Wala Ho Kar
Reh Gayi Sari Zameen Anbar E Sara Ho Kar

Rukh E Anwar Ki Tajjali Jo Qamar Ne Dekhi
Reh Gaya Bosah Dah E Naqsh E Kaf E Pa Ho Kar

Waye Mehroomi E Qismat Ke Main Phir Ab Ki Baras
Reh Gaya Hamrah E Zawwar E Madinah Ho Kar

Chaman E Taiba Hay Wo Bagh Ke Murgh E Sidrah
Barson Chehke Hain Jahan Bulbul E Shaida Ho Kar

Sar-Sar E Dasht E Madinah Ka Magar Aya Khyal
Rashk E Gulshan Jo Bana Ghuncha E Dil Wa Ho Kar

Gosh E Sheh Kehte Hain Faryad Rasi Ko Ham Mein
Wada E Chashm Hay Bakhshain Ge Goya Ho Kar

Paye Sheh Par Gire Ya Rab Tapish E Meher Se Jab
Dil E Betab Ure Hashr Mein Para Ho Kar

Hay Yeh Ummeed RAZA Ko Teri Rahmat Se Shaha
Na Ho Zandani E Dozakh Tera Bandah Ho Kar

Guzre Jis Rah Se Wo Sayyid E Wala Ho Kar Lyrics in Urdu

گزرے جس راہ سے وہ سید والا ہو کر
رہ گئی ساری زمین انبارِ سرا ہو کر

روکھِ انوار کی تجلی جو قمر نے دیکھی
رہ گیا بوسہ دہِ نقشِ کفِ پا ہو کر

وائے محرومیِ قسمت کہ میں پھر اب کی بار
رہ گیا ہمراہِ زائرِ مدینہ ہو کر

چمنِ طیبہ ہے وہ باغ کے مرغِ سدرہ
برسوں چہکے ہیں جہاں بلبلِ شیدا ہو کر

سرسرِ دشتِ مدینہ کا مگر آیا خیال
رشکِ گلشن جو بنا گچھاِ دلوا ہو کر

گوشِ شہ کہتے ہیں فریاد رسی کو ہم میں
وعدۂ چشم ہے بخشیں گے گویا ہو کر

پائے شہ پر گرے یا رب تپشِ مہر سے جب
دلِ بیتاب اُڑے حشر میں پرا ہو کر

ہے یہ امید رضا کو تیری رحمت سے شاہا
نہ ہو زندانیِ دوزخ تیرا بندہ ہو کر

6 kalma of Islam

1st Kalma2nd Kalma3rd Kalma
4th Kalma5th Kalma6th Kalma
Exit mobile version